utha lo mujhe ko apne in hathon se,
k main to kagaz ki kashti sa hoon,
le k in hathon main sukha do mujhe,
k ye pani mujhe akra jaye ga,
hoon akela tanha is darya-e-dard main,
bant lo jo piya hain main ne is darya se,
is darya-e-dhook main pighal jaoonga,
k main to kagaz ki kashti sa hoon,
dair karna mat k mera waqt hai pani main muktasir,
ye nigal jaye ga mujhe,dhoba de ga gherayon main,
gaya jo aik baar to dhoond na payo gay kabhi,
k hai ye darya rangon aur gehrayon main gehra,
nikal lena mujhe is darya-e-edard se jald,
k main to kagaz ki kashti sa hoon,
agar kabhi dekho k badal hain gehre aasman main,
dhank lena mujhe,k ye badal baras na jain,
na kia khayal to bheeg jaoon ga main itna,
nazron k samne reza reza payo gay mujko,
bacha k rakhna mujhko in zindagi k khatron se,
k main to kagaz ki kashti sa hoon,
rakhna khud k pass aur khud ko aasoon se door,
k ye aasoon bhe to bhega dain gay mujko,
par tere liye ye ansoon bhee pe loonga main,
khud ko maar k doon ga tujhe kuch thora aaram,
par hai meri bhi had-e-bardasht kuch ziyada nahin,
k main to kagaz ki kashti sa hoom,
pao kabhi khud ko kisi darya main dhoobte,
bait jana muj main ke main bacha loonga tujhko,
dega tu mujhe wo himmat k samandar bhi kia cheez hai,
chahiye tera saath aur pyar,bas kuch aur nahin
chahiye tujsa mujhe chalane wala,
k main to kagaz ki kashti sa hoon,
meri banawat ko samj lena achi tarhan,
k jan lo tum pasand napasand meri,
aur ho koi khata hum se kabhi,
to maramat karsako hamari behter,
koi cheez lage mujh main kam agar,
koi cheeze lage ghalat mujh main agar,
to mor k kar dena tum mujhe sahi,
badal sakta hai tu hi k chaha hai dilse tujhe,
sonp di zidagi tere haath main apni
k mian to kagaz ki kashti sa hoon
Monday, March 17, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment